Aidrus bhai
Aap ka sawal:
siraj bhai
assalam aliekum wr wb
jis ka bhi inteqhal hojata hai to kiya hum marne wale ko marhoom keh sakte hai kiya?
aur agar nahee kehsakte hai to marne wale ko kiya kehna chahiye!
pl wazahat kare
Jawab:
Marhoom ke maane hain “Reham kiya gaya”.
Marne wale ko marhoom agar iss niyyat se kaha ja raha hai ke wo swargiyya hain yaani jannati hain. To aisa kehna qatyi durust nahee hai.
Agar iss niyyat se kaha ja raha hai ke allah ne uss shaksh ko baksh diya aur magfirat kar di hai to aisa kehna bhi bilkul durust nahee hai.
Urdu adab mein aam taur par marhoom ke maane inteqaal shuda ko kehte hain. To iss tarah ye lafz istemaal karne mein koi haraz nahee hai.
Jaisa ke kehte hain
Marhoom janab ……
Ye marhoom lafz urdu mein “Late” lafz ka badal hai jo english mein istemaal hota hai.