Aap ka sawal:
Kya diplomat rahker islamic rh sakte,
Jawab:
Iss sawal ka jawab janane ke liye humein iske meaning janana zaruri hai.
Diplomat:
1. Zamana shanas
Yani ki one who has common sense.
Iss ke mutabiq ek shaksh diplomat reh kar islamic bhi reh sakta hai.
2. Mamla fehmi
Iss ke mutabiq bhi ek shaksh diplomat reh kar islamic bhi reh sakta hai.
3. Mafad parast aur matlab parast
Har dunya mein har shaksh mafad parast hai.
Ye mafad parasti haq hai to Iss ke mutabiq ek shaksh diplomat reh kar islamic bhi reh sakta hai.
4. Doglapan ya munafiqat
Agar ye siffat deeni eatebaar se hai to Iss ke mutabiq ek shaksh diplomat reh kar islamic nahee reh sakta hai.
Agar ye mamla dunya ke eatebaar se hai to Iss ke mutabiq ek shaksh diplomat reh kar islamic bhi reh sakta hai.
Ab rahi baat gunah ki, iski saza allah dunya mein bhi deta hai aur aakhirat mein bhi. Aise shaksh ko islam ke andar rakhane aur bahar karne ke hum zimmedar nahee hain.
Jo log diplomat reh kar mamlat karte hain iss se unka maqsad dusraun ko nuksaan pahoonchana hai to isko dhoka dena kehte hai.
Aur nabi s.a.w. ne farmaya
MANN GOSHSH FALAIS MINNA
Yani jo dhoka de wo hum mein se nahee.