Aap ka sawal:
Assalamualaikum
Paidaish k bad bache k kaan m azaan dena durust h kya yeh hadees se sabit hai.
Jawab:
Aisa masala ek hadith mein milta to hai, magar wo hadith sahee nahee hai. Iss liye bachche ki paidaish par uss ke kaan mein azaan dena durust nahee hai.
Hum musalman sirf sahee hadith ko hi mante hain. Jo zaeef aur jhooti hadith hoti hai hum usko nahee mante.
Jaise,
Ek hadith hai
MANN AKALADDUBB DAKHALAL JANNAH
Yani (astagfirullah) nabi ne farmaya
Jo kaddu khayega wo jannat mein jayega.
Ye jhooti hadith hai. Ab aap batao kaddu to hindu bhi khate hain to kya wo bhi jannat mein jayenge.? …….. Nahee na?