Aap ka sawal:
Salamalaikm, Ghar me jitne bhi quran hai kya sabmese phadhna lazmi hai?ager nahi pedhagaya to?
Jawab:
Jitne quran hain agar unn sab ka maqsad alag alag hai to jiss ki jaise zarurat ho waise istemal karein.
For example,
Ek quran sirf arabi ke saath
Ek quran word to word transalation ke saath
Ek quran tajweed coding ke saath
Ek quran simple transalation ke saath
Ek quraan transaltion with explaination ke saath
Ek quran transaltion with tafseer ke saath
Etc etc.
Ab agar ghar mein ek hi qisam ke quran maujood hain to jo zayad copies hain wo dusran ko de dijiye. Unke padhane ka sawab aap ko bhi mil jayega.
Asal maqsad hai quran ka padhana samazhana aur uss par amal karna. Agar ye ho raha hai yo ghar mein 100 quran bhi extra hoonge tabh bhi koi haraz nahee.