Aaqil bhai
Aap ka sawal:
السلام عليكم رحمة الله وبركاته
Q: What is the correct & suitable age to marry for both a boy & a girl
according to Islam
&
What r the rules of the Indian government ?
Siraj Bhai plz put some light on this topic.
JazakAllah.
Jawab:
Islam ladke ya ladki ke talluq se shadi ke liye koi suitable umar ka zikar nahee karta.
Ladka aur ladki jab balig ho jayein to unn ki umar shadi ki ho jati hai.
Ladke ko jab ehtelam ho jaye aur ladki ko jab haiz aa jaye to wo balig ho jate hain.
Indian govt mein shadi ke liye ladki ki umar 18 saal ho aur ladke ki umar 21 saal ho.
Shadi ke liye suitable umar kaunsi ho?
Jab TAQWA saath chorene lage
Gunahaun ki taraf dill mayal hone lage
Halat sazgaar nazar aa jayein
Ladke wale razi aur ladki wale tayyar ho jayein
To samazh jayein ke ab shadi karna hi hai. Aur apna aadha deen mukammal karne ka waqt aa chuka hai.